VrapVerse

Bollywood Shayari | 19+ Best Filmi Shayari

bollywood shayari

BOLLYWOOD SHAYARI, FILMI SHAYARI SILSILA MOVIE

Heart Touching Shayari of Silsila Movie

Silsila shayari | bollywood shayari

Main Aur Meri Tanhaai,
Aksar Yeh Baatein Karte Hain,
Tum Hoti Toh Kaisa Hota,
Tum Ye Kaheti,
Tum Wo Kaheti,
Tum Iss Baat Pe Hairaan Hoti,
Tum Us Baat Pe Kitani Hansti,
Tum Hoti Toh Aisa Hota,
Tum Hoti Toh Waisa Hota,
Main Aur Meri Tanhaai,
Aksar Yeh Baatein Karte Hain…

Ye Raat Hai,
Ya Tumhaari Zulfein Khuli Hui Hain,
Hai Chandni Tumhari Najaron Se,
Meri Raatein Dhuli Hui Hain,
Yeh Chaand Hai Yaa Tumhara Kangan,
Sitare Hain Ya Tumhara Aanchal,
Hawaa Ka Jhonka Hai,
Ya Tumhare Badan Ki Khushbu,
Ye Pattiyon Ki Hai Sarsarahat,
Ke Tumne Chupke Se Kuchh Kaha,
Ye Sochta Hun Main Kabse Gumasum,
Ki Jabki Mujhko Bhi Yeh Khabar Hai,
Ki Tum Nahin Ho, Kahin Nahin Ho,
Magar Ye Dil Hai Ki Kah Raha Hai
Tum Yahin Ho, Yahin Kahin Ho…

Majabur Ye Halaat,
Idhar Bhi Hai Udhar Bhi,
Tanhayi Ki Yeh Raat,
Idhar Bhi Hai Udhar Bhi,
Kahne Ko Bahut Kuchh Hai,
Magar KisSe Kahein Hum,
Kab Tak Yunhi Khamosh Rahein,
Aur Sahein Hum…
Dil Kahta Hai Duniya Ki Har Ik Rasm Utha Dein
Diwaar Jo Hum Dono Mein Hai,
Aaj Giraa Dein…
Kyon Dil Mein Sulagte Rahein,
Logon Ko Bata Dein
Haan Humko Muhabbat Hai, Mohabbat Hai, Mohabbat Hai…
Ab Dil Mein Yahi Baat, Idhar Bhi Hai, Udhar Bhi.


BOLLYWOOD SHAYARI, FILMI SHAYARI SARFAROSH MOVIE

Heart Touching Shayari of Sarfarosh Movie

bollywood shayari | sarfarosh bollywood shayari

फूल खिलते हैं बहारों का समा होता है,
ऐसे मौसम में ही तो प्यार जवां होता है,
दिल की बातों को होठों से नहीं कहते,
ये फ़साना तो निगाहों से बयाँ होता है।

Phool Khilte Hain Baharon Ka Samaa Hota Hai,
Aise Mausam Mein Hi Toh Pyaar Jawaan Hota Hai.
Dil Ki Baaton Ko Hothon Se Nahi Kehte,
Yeh Fasaana Toh Nigaahon Se Bayaan Hota Hai.

Sarfrosh 


BOLLYWOOD SHAYARI, FILMI SHAYARI DILJALE MOVIE

Heart Touching Shayari of Diljale Movie

diljale bollywood shayari | diljale shayari

एक पल में जो आकर गुजर जाये,
ये हवा का वो झोका है और कुछ नहीं,
प्यार कहती है दुनिया जिसे,
एक रंगीन धोखा है और कुछ नहीं।

Ek Pal Mein Jo Aakar Gujar Jaaye,
Yeh Hawa Ka Woh Jhoka Hai Aur Kuchh Nahi,
Pyar Kahti Hai Duniya Jise,
Ek Rangeen Dhokha Hai Aur Kuch Nahi.

आरजू झूठ है,
आरजू का फरेब खाना नहीं,
खुश जो रहना हो जिंदगी में तुम्हें,
दिल कभी किसी से लगाना नहीं।

Aarzoo Jhooth Hai,
Aarzoo Ka Fareb Khana Nahi,
Khush Jo Rahna Ho Zindgi Mein Tumhein,
Dil Kabhi Kisi Se Lagana Nahi.

क्यूँ बनाती हो तुम रेत के महल,
जिसे खुद ही तोड़ डालोगी तुम,
आज कहती हो इस दिलजले से प्यार है तुम्हें,
कल को मेरा नाम तक भूल जोगी तुम।

Kyon Banaati Ho Tum Ret Ke Mahal,
Jise Khud Hi Tod Dalogi Tum,
Aaj Kehti Ho Iss Dijlale Se Pyar Hai Tumhein,
Kal Ko Mera Naam Tak Bhool Jayogi Tum.

Also read Inspirational ShyaraiRomantic ShayariLove Shayari & Funny Shayari… 

BOLLYWOOD SHAYARI, FILMI SHAYARI RAAZ MOVIE

Heart Touching Shayari of Raaz Movie

raaz bollywood shayari | filmi shayari

गर्मी-ए-हसरत-ए-नाकाम से जल जाते हैं,
हम चिरागों की तरह शाम से जल जाते हैं,
शमा जिस आग में जलती है नुमाइश के लिए,
हम उसी आग में गुमनाम से जल जाते हैं,
जब भी आता है तेरा नाम मेरे नाम के साथ,
जाने क्यूँ लोग मेरे नाम से जल जाते हैं।

Garmi-e-Hasrat-e-Nakaam Se Jal Jaate Hai,
Hum Chiragon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hai,
Shama Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Ke Liye,
Hum Ussi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaate Hai,
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath,
Jaane Kyun Log Mere Naam Se Jal Jaate Hai.

सारे जहां का दर्द समेट कर,
जब कुछ न बन सका तो,
उसने तुम्हारी यह दो आँखें बना दी।

Saare Jahan Ka Dard Sametkar,
Jab Kudrat Se Kuch Na Ban Saka
Toh Usne Tumhari Yeh Do Aankhein Bana Di.

फासला शिद्दत-ए-एहसास से कम होता है,
एक ज़रा हाथ बढ़ा दो तो छू लूँ तुम्हें।

Faasla Shiddat-e-Ehsaas Se Kam Hota Hai,
Ek Zara Haath Bada Do Toh Chu Loon Tumhein.


BOLLYWOOD SHAYARI, FILMI SHAYARI DEVDAS MOVIE

Heart Touching Shayari of Devdas Movie

devdas bollywood shayari | devdas filmi shayari

अपने हिस्से की जिंदगी तो हम जी चुके चुन्नी बाबू,
अब तो बस धडकनों का लिहाज़ करते हैं,
क्या कहें इन दुनिया वालों को जो,
आखिरी सांस पर भी ऐतराज़ करते हैं।

Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke chunni babu
Ab Toh Bus Dhadkano Ka Lihaaz Karte Hai,
Kya Kahein Inn Duniya Waalo Ko Jo,
Aakhri Saans Par Bhi Aitraaz Karte Hai..

दिल के छालों को कोई शायरी कहे,
तो दर्द नहीं होता,
तकलीफ तो तब होती है
जब लोग वाह वाह करते हैं।

Dil Ke Chhalon Ko Koi Shayari Kahe,
Toh Dard Nahi Hota.
Takleef Toh Tab Hoti Hai,
Jab Log Wah-Wah Karte Hain..

कितनी आसानी से गिनवा दिया
कि तुम्हें हर पल मेरी याद आती थी,
लेकिन ये नहीं सोचा कि
उन पलों में बीतता तो मैं ही था
दिया तुम जलाती थी
तो जलता तो मैं ही था।

Kitni Aasani Se Ginva Diya
Ki Tumhein Har Pal Meri Yaad Aati Thi
Lekin Yeh Nahi Socha Ki
Un Palon Mein Beetata Toh Main Hi Tha
Diya Tum Jalati Thi
Par Jalta Toh Main Hi Tha..


BOLLYWOOD SHAYARI, FILMI SHAYARI KABHI KABHI MERE DIL MEIN MOVIE

Heart Touching Shayari of Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Movie

bollywood shayari | filmi shayari

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aataa Hai,
Ki Zindagi Teri Zulfon Ki Narm Chhaaon Mein,
Guzarne Paati To Shadab Ho Bhi Sakti Thi,
Yeh Tiraagi Jo Mere Zeest Ka Muqaddar Hai,
Teri Nazar Ki Shuaon Mein Kho Bhi Sakti Thi.

Ajab Na Tha Ki Main Begana-E-Alam Reh Kara
Tere Jamaal Ki Ranaiyon Mein Kho Rehta
Tera Gudaaz Badan, Teri Neembaz Aankhein
Inhin Hasin Fasano Mein Main Ho Rehta.

Pukartin Mujhe Jab Talkhiyan Zamane Ki,
Tere Labon Se Halavat Ke Ghunt Pe Leta,
Hayaat Chikhti Phirti Barhana-Sar Aur Main,
Ghaneri Zulfon Ke Saaye Mein Chhup Ke Ji Leta.

Magar Yeh Ho Na Saka Aur Ab Yeh Aalam Hai,
Ki Tu Nahin, Tera Gham Teri Justaju Bhi Nahin,
Guzar Rahi Hai Kuch Iss Tarah Zindgi Jaise,
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarzoo Bhi Nahin,

Zamane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Chuka Hu Gale,
Guzar Raha Hun Kuchh Anjaani RahGuzaron Se,
Muhib Saaye Meri Simt Badate Aate Hain,
Hayaat-O-Maut Ke Par-Haal Khaar-Zaaron Se.

Na Koyi Jaada, Na Manzil Na Roshani Ka Suraag,
Bhatak Rahi Hai Khalaaon Mein Zindagi Meri,
Inhi Khalaaon Mein Reh Jaaunga Kabhi Kho Kar,
Main Jaanta Hun Meri Ham-Nafas, Magar Yun Hi,
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai.

Also Read Urdu Shayari, Beintehaa Shayari, Romantic Shayari

Exit mobile version